Thursday, November 25, 2010

*CAMPUS ANONYMOUS LETTER*

TO
THE TEACHER
dunya m aesy bohat sey log hotay hain jin ki shasiyat ap ko bohat ziada mutssir karti hai aesi hi ap ki shaksiyat hai jb ap ko phli dafa dkha r ap sy parha to ap ka lehja kafi sakth laga lekin ahista ahista ap k andaz-e-guftagu shaistana andaz naram lahja mazak karnay ka andaz in sb ny bohat ziada mutassir kiya koi b ap ki shasiyat sy mutassir hoye bagair nh reh skta ap sy parhna r baat krn bohat ziada acha lagta hai kyn k ap sy boht se nae maloomat r batain sekhnay ko milti hain ALLAH sy dua hai k wo ap ko hamesha khush rakhy r ap ko lambi zindagi dy AMEEN
                                                                                               YOUR'S STUDENT                                                                                                                                     .                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                             

*K2 PER I DIN M SB SEY ZIADA HALAKATEIN*



1 AUG 2008 ki tareek m,dunya k dosray buland tareen pahar K2 per ab tk sb sy ziada halakat khaiz k tor per yaad rakhi jaye gi is roz K2 k junoob mashriqi hissay per jami baraf k tooday toot k girnay sy 11 koh-e-pema halak hoye thy phela waqia us wqt paish aya jb K2 ki choti per 1 azeem satoon toot kr gir para jis ny na srf 1 koh-e-pema ki jan li balkey choti sar kr k nechay anay walay koh-e-pemaon k group ko b kat dala isi raat baraf ka 1 r toda koh-e-pemao k camp per gira  jis ny mazeed janein li jb k degar koh-e-pema apnay murda sathiyn ki laashain uthany k chakar m jan sy hath dho bethay halak honay walay 11 koh-e-pemao ka taluq sarbia,pakistan,norway,junobi korea,nepal,ireland r france sy tha.

QUAID-E-AZAM MOHAMMAD ALI JINNAH

QUAID-E-AZAM MOHAMMD ALI JANNAH 25dec 1876 ko karachi m paida hoye ibtidae taleem karachi m hasil karnay k bd 1892 ko qanoon ki taleem England sy hasil ki r wahan sy wakalat ka imtehan pass kiya baristery ka imtehan pass kar k unho ny mumbai m wakalat ka aghaz kiya.Quaideazam taleemi dor sy hi siyasat m hissa letay thy 1906 m unho ny bar-e-sageer  ki siyasat m amli tor per hissa lena shuru kiya ibtida m Quaideazam ny congress m shamoliyat iktiyar ki r bd m 1913 muslim league m shamil ho gaye Quaideazam ek siyasi sojh boj rakhny waly shaksh thy Pakistan k silslay m bht ahem khidmat anjam di un ki qayadat m musalman jo bar-e-sageer m ek shikasth kor jammat thy muthid ho gaye r QAYAM-E-PAKISTAN ki jido johad m hissa lena shuru kar diya Quaid-e-aazam ko Pakistan ka bani kaha jata hai kyn k unho ny musalmano ko ek plate farm per jama kiya tha r unhi ki koshishon ka nateeja tha musalmano ny apnay haq k lye awaz uthae r apna azad watan PAKISTAN hasil kr liya r Quaid-e-azam PAKISTAN k phelay Governor Grnal banay P AKISTAN bnnay k 1 saal bd 11 SEP 1948 KO Quaid-azam ka inteqal ho gaya un ka mazar karachi m hai.Quaid-e-azam ki koshishn ka hi nateeja hai jo aj hm apnay azad mulk m hain ALLAH hmary pyaray watan PAKISTAN ko hamesha salamat rakhay AMEEN 

*MOTHER*

Maa jesi azeem hasti dunya m koi nh maa ka namul badal is dunya m na koi hai r na ho ga maa ek aesi naimat hai khuda ki ata karda k dunya m is jesi naimat koi nh agar dkha jaye to maa gulab ki khushbo hai,chaudhvi ka chand hai,be panah mohabbat r safhqat r beti k lye chadar hai maa khuda k khazano m sy ek azeem khazana hai Khuda ny maa k qadmo talay jaanat rakhi hai maa ko jannat ki ronaq qarar dy kr khuda ny maa ka martaba r bulund kar dya hai maa ki mamta, shafqat, mohabbat maa ka anchal qismat walo ko milta hai is fani dunya m maa ki jtni khidmat karo wo kam hai maa har musibat pareshani m 1 farishta hai wo apnany bachay k lye janomaal tk qurban krnay sy daraig nh karti maa aqlo shaoor ki ek darsgah hai wao apnay bachay ki achi sy achi parvarish karnay ki koshish karti hai har maa ki koshish hoti hai k wo aoni aulad ki achi taleemo tarbiyat kary ta k aulad kal ko apnay maa baap ka naam roshan kr saky r ye aulad ka farz hai k wo apni maa baap k sapnay ko zaror pora kary.maa kainat ki khobsurti hai maa zindagi m dobara nh milti.ALLAH hmaray maa baap ko hamesha salamat rakhy  AMEEN

*ROSHAN KHAYALAT*

1)JAB NEKI TME MASROR R BURAE AFSURDA KARY TO TM MOMIN HO
2)HAMESHA SUCH BOLO TA K TME KASAM KHANY KI ZARORAT NA PARAY
3)KISI SEY NEKI KARTY WAQT BADLAY KI TAWAQAMT RAKHO,KYN K BURAE KA BDLA INSAN NH ,ALLAH DETA HAI
4)JO QOAM LALUCH M PARI WO ZILLAT K KUNWAY M GIR PARI
5)AGAR AZADI AZIZ HAI TI APNAY ANDER AZAD QOAMON KI KHUSOSIAT PADE KARO
6)APNAY HAWAS IS PER HOKOMAT KARO TA K TM AZEEM INSAN BAN SAKO


 

CHANGE

Agar m kisi cheez m change lana chahun to wo hai tmam talemi idaron m classes morning shft k bjaye evening shft m hona chahye kyn k subah 6bjy nend sy jaag kr na to bachon sey school jaya jata hai r na baron sey mothers zbrdsti bachon ko uthati hai r school bhej deti hain jis k natejay becharay chotay masoom bachay rotay hoye van m b jty hain r class m rotay rhtay hain r rotay rahy gay to parhein gay kb akhr parhnay k lye to school jatay hain dosri taraf baray bachay wo shuru subah k periods m onghtay rhtay hain teacher kya parha raha hai na to unhy kch smj ata hai blkay nend r barh jati hai r larkay to mostly raat ko dair sy sotay hain r jb subah jana ho to ankh nh khulti jis k natejay m imtahanat m result average per ata hai  m khud subah uthnay m roti hn abh tk jb k masterx m agae per wo adat nh khtm hoi ab ye to choice per hai school to evening m hotay hain per kn smjhay parents ko wo morning shft m admission kara detay hain k subah ka uthna sehat k lye best hai r ye bt thek b hai per jb subah utha nh jata to parhae kesy ho gi sham m sary school hn gay to bachay r bary aram sey apni nend pori kar k school jayein gay to parhae m b dil lagy ga r regular rahy gay

AFTER EDITING

BEFORE EDITING

                          

Wednesday, November 24, 2010

*ANOKHI SHADI 1 DULHA 2 DULHAN*

SHADI ek aesa anokha r khubsurat bundhan hai jis m ek na ek din har kisi ki banna hai per Multan m Harum gate k elakay m ek anokhi shadi hoi ab shadi m anokha pan kesa jb ek dulha ho r ek wqt m apni 2 dulhano k sath itna khush betha ho to wo anokha pan hi hoa na.ye anokhi shadi multan m jogiyon wala m azhar hadri ki un ki cousin k1 mamu ki beti humera r 2sri chacha ki beti romaanooh sy hoi.lrkay k ghar walo r khandan walo sy is anokhi shadi ki wja pouchi gae to unho ny bataya k hmaray khandan m lrko ki kami hai r lrki khandan sey bahr nh dethy jis ki wja sey ye anokhi shadi hoi mazeed kaha k agar un ka beta 10 shadiyan b krna chahe to wo is ki khushi m shirkat kary gay.

*FASHION CARNIVAL ECHEOS OF EPOCHS* held on sat oct 9-oct-2010

JINNAH UNIVERSITY 4 WOMEN m M.A(final)masscommunication ki talibaat ki janib sey fashion show ka ineqaad kiya gaya jis m 60's,80's r mojuda fashion ko mutarif karaya gaya is m talibaat ney barh charh k hissa liya is k elawa muktalif models ny malbosaat r zeviraat ki numaish b ki is k elawa talibaat ny new or old fashion dresses jewellery shoes k stalz b lagaye.Show m showbiz r fashion industry ki mashoor saksiyat jin m nazia malik,farah jahanzaib,ash ishrat,pari hashmi,aliya tipu ny shirkat ki r talibaat k kaam ko saraha is k elawa prof.hashmi r sir naseem ahmed sandelvi ny talibaat k kaam ko kafi saraha.Jinnah uni ki talibaat ny bari tadaad m show m shirkat ki r show munaqqid krnay wali talibaat ki hosla afzae ki.                                                                  


HATE SPEECH

Hate speech ye ek aesa marz ya waba hai jo hmaray mashray m bohat taizi sy phel raha hai school,college,university,family gettogether,shadi etc jahan kahin bhi 2 ya 4 log hun gay wahan kisi dosray bunday ki burae xaror chal rahi ho gi e.g 3 friends hain r un m sey 1 friend apni 2 friends sey parhny m ziada achi hai r achay marks gain karti hai to wo baki 2 us bazahir to thek rahy gi per us k pechy us ki burae kary gi ek r misaal family get together m jahan kahin b khawateen mil jayein wo zror kisi ko point out krna kisi b khatoon k dress ko khna ktna old fashion hai hairstyle ya makeup ktna odd lg raha hai ktna cheap dress hai bagair sochay smjay k wo is trha kar k kisi ki dil azari kar rahi hain.Log ye nahi sochtay k un ka ek jumla kisi ko ktna hurt kr skta hai bas khny sy mtlb rakhty hain baz dafa m khud aesi batein keh jati hun jis ka afsos mjy bd m hota hai k m ny apni is harkat sey kisi ka dil dukhaya koi insan mukamal tor per perfect nahi hai khami us k khud k ander b mojood hai dosray per tunqeed karnay k bajaye ek br khud per nazar daly k wo kya hai agar hum sb is bat ko samj jayein k koi insn b khamiyon sy khali nh to ye burae khd ba khd khtm ho jaye gi.

KYA HAMEIN STUDENT WEEK MANANA CHAHYE YA NH?

   JINNAH UNIVERSITY 4 WOMEN m is saal students week nh manaya ja raha jis ki sab sey bari waja aye din karachi m honay walay na khush gawar halaat hain jis ki waja sy uni bund rahi r classes na honay ki waja sey parahae ka harj hoa course na complete honay r papers kareeb honay ki waja sey students week na manany ka faisla kiya gaya.                                                                                                                                   Jahan tak mera khayal hai students week zaror manana chahye is m talibat ko apni salahiyaton ko dikhany ka moka milta hai balkay is m mukhtalif kisam k stalz b lagaye jatay hain r is k elawa bohat sey mukablay b munaqqid kiye jatay hain parhae k sath sath thora entertaiment zarori hota hai is sy mind b fresh ho jata hai r lutf andoz b ho jatay hain   

CULTURAL SHOW *COLOURS OF PAKISTAN* held on tue 12-oct-2010



JINNAH UNIVERSITY 4 WOMEN m B.S IV year Masscommunication depart ki talibaat ki janib sey fashion show ka munaqqid kiya gaya is show k ineqaad ka maqsad pakistan ki sakhawat ko mutarif karwana tha.Pakistan k charoon soobon ki sakhawat ko nihayat khobsurat andaz m dikhaya gaya tha hmaray har soobay ka ek alag rang khobsaurti r ek alag pehchan hai pakistan m bnnay wali tmam ashiya bahar mumalik m bohat pasand ki jati hai r bari miqdar m farokth hoti hain is show m pak k muktalif suboon SINDH,PUNJAB,BALAUCHISTAN,KHAIBER PAKH TOON KHUA,KASHMIR ki sakhawat ko nihayat khobsurat andaz m dikhaya gaya is k elawa mukhtalif kisam k stalz lagaye gaye jin m art, craft,saboon m khaye jaye waly khany,rugs,carpet,dry fruits shamil thy is k elawa differnt norms ko presentation k zarye dikhaya gaya is k elawa riwayati malbosaat ki numaish ki gae talibaat ki bari tadaad ny is m shirkat ki r show munaqqid krnay wali talibaat hosla afzae ki r un k kaam ko saraha.is kisam k shows munaqqid krnay ka main maqsad aney wali new generation ko apny culture sy mutarif karanay m madad milti hai r ye k pakistani culture tmaam pakistniyon k dil m hamesha zinda rahy